Meri aankhain khareedo gay
Bohat majbur halt main
Mujhay neelaam krni heinn
Koi mujh say naqad ley ley
Main thoray daam ley loun ga
Jo dey dey pehli boli tau
Usi k naam kar doun ga
Mujhay bazaar walay keh rahy hain kam aqal tajir
Suno logo, nahi khawahaa'n hiras ka main
Nafa nuqsaan ki shatranj nahi main khailnay aaya
Koi mujh ko kahay na manchala sa be-hunar tajir
Bata paoun tumhain kaisay
K kis tashveesh main houn main
"Suno logo," bari mehboob hain mujh ko
Ye mairi neem-tar aankhain
Magar ab baich'ta houn k
"Mujhay ek khawab ka tawaan bharna hay
Inhain neelaam karna hay...